Aaina book mein kuch aisi kahaniyaan hain jo dil ko choo lene wali hain. Kirdaar kahani mein ek pita jo peshe se jallad hai logon ko faansi deta hai use kya pata tha ki ek din usse hi apne bete ko faansi deni padegi. Ehsaas kahani mein ek shehar ki padhi likhi ladki jo gaon ke mahaul se anjaan hai ek din company ke kaam se gaon jaana padta hai jahan use zindagi ki asli keemat ka pata chalta hai. Aisi kahaniyaan hain jo dil ko choo jaati hain. Meri aage bhi koshish yahi rahegi ki aur behtar kahaniyaan pesh kar sakoon. Mera naam Priyanka Jain hai. Mujhe kahani padhne aur likhne ka bahut shauk hai. Main Datia ki rehne wali hoon meri shaadi Prayagraj hui hai. Maine 2022 se likhna shuru kiya hai. Meri kahani aam zindagi ke upar hai jo hamare aas paas ghatit hoti hai. Lekin log unhe dekh kar andekha kar dete hain. Maine unhe kahani ka roop diya hai. Meri kitaab Aaina mein maine aisi kahaniyon ko darshaaya hai jo aam kahaniyaan hain. Meri kahani ki bhasha aam hai jise har koi padh sakta hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.