*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹155
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Abhivyakti meri kavitaon ka sankalan hai. Abhivyakti kisi ek bhav ya vishay vishesh ko lekar nahi hai .Isme jeevanke vibhinn rangon ko ukerne ki koshish ki hai maine .kahin jeevan ek sangharsh hai antardwandchunauti hai to nakaratmakta par sakaratmakta ki jeet bhi hai .shabdon ke alag-alag prayog mujhe hamesha se aakarshit karte rahe hain .meri kuchh rachnaayen saahity se bhi sambandhit hain . any samkaleen vishyon ne bhi mere man ko jhijhoda hai isliye unke prati apne bhaavon ko prakat karne ka lobh main samvaran nahi kar saki. Kai rachnaon me maine rishton pyaar aur laachaargi ke beech bhi jeene ki koshish ki hai. Kuch kavitaaein paristhitijanya prernaon ke kaaran hain aur kuch aatma-chintan aur aatmanabhav se prerit hain. Saahitya se mera judaav bachpan se raha hai. Saahitya srijan ka kaarya bahut dino se kar rahi thi aur yah kaarya ek tarah se swaantah sukhaay ke liye tha. Apne aas paas ghatit ghatnaon ko dekh kar parichit aprichit chehron ke beech man akulakar kuch kahne ko vivash ho uthta hai. Yah meri akulahat tab tak shaanti ke kagar tak nahi pahuch paati jab tak main unko shabdon ka jaama pahna kar kaagaz par nahi utaar deti. Yahi Abhivyakti hai.