Adhoori Kavitaayen / अधूरी कविताएँ


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Fast Delivery
Fast Delivery
Sustainably Printed
Sustainably Printed
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.

About The Book

Yadi main apurna hun to meri kavitayen kaise purna ho sakti hain... Meri tarah meri kavitayen bhi safar par hain... Sharir badalti hui rang-roop badalti hui... Purnata ki tarfa... Adhoori Kavitaayen me meri 105 rachnaayen hain jinhone mujhe pichhle do dashakon me racha hai... - Anurag S Pandey Pustak se kuch pantiyaan...  Ansuljha sa lage Marasim tera-mera Anchhua hi sahi par hai tu hasil mera. Khwaab sa paas tu hain faasale darmiyaan falak ke Rooh ke sath tu tanha man sang teri mehak ke. Kaisi ye tune alakh jagaai... *** Zindagi ka jhola Mujhse bola Kyu bharta hai tu isme wo sab? Jise chhod ke jana hoga Dil se bhi hataana hoga. Jhola mat kar bhari Kar le Zindagi Sawaari Ud le tu ud le tu...! *** Kash! Hawa ban ud bahta Bhed-mukt ho sabse ghul-mil Udata firta... Magar vah bhi mukt kahan! Vivash vah bhi to Har rang apnaane ko Har boo failaane ko... Kash! vyom ban Khud ke bheetar shamil kar leta Kaale-ujale saare taare... Par vah bhi to Fail raha hai sikud raha hai Dhoondh raha hai khud ko meri tarah... *** Adhoori Kavita sa Adhoora chitra sa Main Dhoondhta swaroop... Bhaw-shabd aur bhaw-rangon se Main gadhta jata swaroop... *** Please note: Book is not in Roman
downArrow

Details