Is pustak me lekhak ne aparna/atrapt prem se janmi maanviya samvednaon ka postmortem kiya hai. Jaise insaani jism ka postmortem shalya chikitsa upkarno dwara kiya jaata hai usi prakar is kriti me bhavanao ka postmortem kavitaon dwara kiya hai. Ye kavitayen dekhne me bhale hi choti lagein lekin bhavnaon ka sunami laane ki taakat rakhti hain. Kitna ajeeb hota hai n ye prem! Ab Shree Krishna ka hi udaharan le. Wo jinhe nahi mile yugon yugon se unhi ke hain aur jinhe mile unhe mil kar bhi nahi mile. Hum sabhi ek adhuri kavita hain aur apne jeevan kaal me purak kavita ka intezaar karte hai. Jis prakar se kisi jigsaw puzzle ke kisi adhure hisse ko aik nischit tukda hi pura kar paata hai usi prakar har vyakti ki jeevan roopi adhuri kavita aik dusri aur nishit adhuri kavita se hi poorn ho paata hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.