Amen The Autobiography of a Nun (Hindi


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Fast Delivery
Fast Delivery
Sustainably Printed
Sustainably Printed
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.

About The Book

Hindi transliterated in English. 31 August 2008 ko sister Jesme ne 'Congrigation Of Mother Of Karmel' chod diya. Unka kehna hai ki dharmadhikariyon dwara unhe vikshipt karar diye jaane ke prayason ne unke saamne aur koi raasta nahi choda hai.Bharat mein likhi gayi apni tarah ki iss pehli pustak mein ek nun ke roop mein sister Jesme ki 33 saal ki zindagi ke anubhavon ka bebak byora hai. Catholic math mein gehri aastha rakhne vaale ek ache parivar ki zindagi se bharpoor aur khildande swabhav ki Jesme 17 saal ki umra mein Junior College mein aayojit ek retreat (dharmik aekantvaas) mein bhaag lene ke baad dharmik jeevan ki aor aakarshit hue.Convent mein 7 saal tak ek nun ke roop mein kaam karne ke baad Sister Jesme vahan panpati ankek buraiyon ke baare mein khamosh rehne par majboor kiye jaane par hatash ho uthi . College mein dakhile ke liye chanda liya jaane ke roop mein bhrashtachar vayapt tha kuch paadriyon aur nunon ke beech aur kuch nunon ke aapas mein bhi jismaani sambandh the varg-bhed tha jiski vajah se chedunthiyon ( garib aur alapshikshit nun) ko tuch kaam karne padte the. Itna hi nahi paadriyon aue nunon ko milne vaali sukh suvidhaon mein bhi bahut fark tha.Aadhyatmik aur sanvedansheel Aamen Church mein sudhar laane ki appeal hai aur aise samay mein saamne aayi hai jab nunon aur paadriyon ko lekar Church ki chintayein badh rahi thi. Yeh aatmakatha convent ki chaardiwari ke bahar rehkar bhi nun ki tarah jeevanyapan karti Jesme ki jijas aur charcha mein atut nishtha par muhar lagati hai.
downArrow

Details