Amoksh / अमोक्ष

About The Book

Waqt chalta hai vyaktitva ko bhi.

Waqt se bada chhaliya hai hi kaun is jahan mein. aise hi do logo ki zindagi chhali jaa rahi hai. Amoksh kya hai? Vo jise moksh nahi milta. ya vo jo chahta hi nahi hai moksh. Amoksh vo hai jo bandhano me pada rehna chahta hai. jiska moh choot'ta nahi hai. Krishna se adhik prem kisne kiya hai bhala? Par unme Moh nahi hai. Vo janm janmaantar ke bandhano me nahin padte hain. Krishna Sikhaate hain ki prem aur moh alag alag hain. Par kya sach me aisa hota hai?

Kya sach me moh tyagna itna saral hai? Par koi Moh tyagna kyun chahta hai? Jabtak kuch khwaahishein adhoori rehti hain ye Moh chhoot bhi kahan paata hai?

Samay balwaan hai aur samay chakra niyati ke haathon me. Phir bhi ye moh tyaagne ki aur moksh praapti ki baatein krishav aur dharini ko samjha paana mujhe to asambhav sa lagta hai.

Aap koshish karenge?

Kya kaha? Aap nahin jaante ki Krishav aur Dharini kaun hain? To unhe samjhaane ka jimma uthaane se pehle unki kahani suniye unke kirdaaro ko samajhiye.

ye yaad rakhiyega ki aapko unhe moksh ka mahatva samjhaana hai aur ye bhi ki waqt chalta hai kirdaaron ke vyaktitv ko bhi.

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
downArrow

Details

LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE