Antarman peeda hi Antarman pustak ka aadhaar hai. Yeh pustak yatharth aur satya ke beech ke antar ko spasht karti hai aur samaaj mein vyapt visangatiyon ko ughaadti hai. Saath hi yeh appeal karti hai ki humein galat ko galat kehne ki saamarthya rakhni chahiye. Lekhak ne samajik jeevan mein rehte hue jin takleefon aur visangatiyon ko mehsoos kiya hai wahi is pustak mein likh diya hai. Ek sanvedansheel man jo bhi mehsoos karta hai uske udgaar is pustak mein samaahit hain.Is pustak mein lekhak ki mukhya ikyavan (51) kavitaon ka yeh sangrah yatharthvaadi drishtikon rakhne waalon ke liye ek mahatvapurn dastaavej hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.