Yeh kitaab Jhanvi Kashyap dwara likhi aur sanchit ki gayi kavitaon ka sangrah hai. Lekhika ne jeevan ke kai pehluon par apni kavitaon ke zariye apne vichar vyakt karne ki koshish ki hai. Kisi kavita mein prem ka bhaav hai to kisi mein vichhoh ka. Kabhi wo samaj mein phaili buraiyon par kataksh karti hain to kabhi badi hi sookshmata se koi baat keh jaati hain. Kisi kavita mein aapko pralobhan ka drishya dikhega to kisi mein tyaag ka. Kabhi koi bachpan ki yaad dilaayegi to kisi mein dhalti umar ka ehsaas hoga. Is sangrah mein koi na koi kavita zaroor aisi hogi jo aapko apni si lagegi.