*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹191
₹200
4% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Tumne kabhi hans dekha hai? Dekhi to hogi tasveer. Kitna ujala kitna sundar Kitna uska sugad shareer. --- Paani doodh mila kar rakh do Hans nahi dhoka khata Paani chorr diya karta hai Doodh doodh vah pee jaata. Balyakaal me nandan me padhi ye kavitaayein aaj anaayaas hi smaran ho aayi. Harivansh Rai Bacchan sahab ki kalam ke deewane ham sab hi rahe hain. Ek alag hi amrit hota hai unki kavitaaon mein jo kanth me rukta nahi hai hriday me utar jaata hai. Vo jo padhne me saral sa prateet hota to hai par kahin na kahin hriday me mastishk me rooh me sama jaata hai. --- Ayaan si Kavitaayein aisi hi kavitaaon ka sankalan hai jo maine samay samay par man ke bhaavon ki abhivyakti me likhi hain. Ye jeewan ka saar hain to kabhi kabhi prernadaayi hain. Kabhi yun hi likhi panktiyaan hain jo gaur se dekhne par laybaddh nazar aati hain to kabhi soch samajh kar taal se hataayi gayi naye yug ki kavitaayein. --- Maan lo ki tum sahi ho maan lo ki galat tha vo Maan lo ki jhoot hai sab Maan lo to sach vahi hai Maan lo kirdaar hain bas Maan lo to sach kahani Maan lo to Ganga Maa hain Na maano to behta paani. Ek maanne bhar se kitna kuch sahi ho jaata hai na jeewan me? Kavitaayein bhi to jariya maatr hi hai is maanne bhar ka. Sach ko paribhaashit karti aayina hi to hain kavitaayein. To chaliye saath milkar maan lete hain ki sab accha hai. Sab sahi hai. Aur yaatra karte hain kavitaayon ke saath un palo ki jinme maine bhi kuch na kuvh maan liya tha.