bharat ki divya naariyaan / भारत की दिव्य नारियाँ


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Fast Delivery
Fast Delivery
Sustainably Printed
Sustainably Printed
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.

About The Book

Ek Paigam Bhaarat Ki Naari Ke Naam. Naari hai ek itihas ! Naari hai is desh ki shaan ! Naari hai hamara sammaan ! Naari hai hamari pehchan !  Naari hai prakriti swarupa ! Naari hai matruswarupa ! Naari hai vaatsalyarupa ! Naari hai premswarupa ! Naari hai karunaswarupa ! Naari tu hai mamtamayi ! Naa bhulen apne is daivi swarup ko ! He naari tujh par nirbhar hai is vishwa ka bhavishya. Kyonki har sanskar hokar jate hain tujhse aur hota hai navnirman is vishwa ka punah. Laye pati ke praan yamraj se vaapas vah sati savitri naari hi thi. Jisne jagai nishtha swarajya ki shivaji men vah jijabai naari hi thi. Jisne diya balidaan is matrubhumi ke liye vah laxmibai ek sannari hi thi. Jisne diye uchch sanskar aur kiya mahilaon ka uddhar vah savitri phule ek adarsh shikshika naari hi thi.  Jaag naari apne swarup men hai tere men is vishwa ka bhavishya. Smaran kar apne swarup ka aur samajh le apne dayitva ko. Aaiye ham sabhi mahilayen ek sankalp Karen ki ham apne purvajon ke sanskaron ko sanjoyenge. Un adarsh naariyon ka anukaran kar apna jivan safal banayenge. Is desh evam vishwa ke kalyan men ham sahyog karenge. Apne uchch sanskaron se nayi peedhi ko sinchenge. Ek adarsh ojasvi bhaarat banane men apna amulya sahyog pradan karenge. Shanti ka prachar-prasar karenge. Apne jap tap sadhna dwara vishwa men sakaratmakta ka divya sanchar karenge.Swayamsiddha tejasvini ordination centre aisi sannariyon ka swagat karta hai. yahi is pustak ka uddeshya hai .
downArrow

Details