Bhasha aur Abhivyakti: Ek Samagra Drishtikon
shared
This Book is Out of Stock!

About The Book

Prastut pustak Bhasha Abhivyakti aur Madhyam - Ek Samagra Drishtikon kaksha 11vi evam 12vi ke vidyarthiyon ke liye Hindi bhasha ke rachnatmak vyavaharik evam sanprashneey paksh ko saral aur sulabh roop mein prastut karne ka ek vinamr prayaas hai. Yah pustak C.B.S.E. tatha Haryana Rajya Shiksha Board ke naveenatam pathyakram evam N.C.E.R.T. ki rooprekha ke anuroop taiyaar ki gayi hai. Aaj ka yug jansanchar aur rachnatmak abhivyakti ka yug hai. Shiksha keval pathya gyaan tak seemit nahin rah gayi hai balki abhivyakti ki kala aur vyavaharik lekhan kaushal bhi utne hi aavashyak ban gaye hain. Is pustak mein chhatron ko sanchar ke vivid roopon patrakarita ke siddhanton radio evam TV lekhan samvaad nirmaan kavita evam kahani lekhan vishesh lekhan diary naatya roopantaran aavedan patra swavritt tipanni aur prativedan aadi sabhi aavashyak vishayon ko vyapak roop mein shaamil kiya gaya hai. Pustak ki bhasha sahaj pravaahmayi aur vidyarthi ki samajh ke anuroop rakhi gayi hai. Udaharanon evam abhyason ke madhyam se chhatron ke lekhan evam chintan ko disha dene ka prayaas kiya gaya hai. Pratyek adhyay gyaanatmak ke saath-saath vyavaharik drishtikon ko dhyaan mein rakhkar taiyaar kiya gaya hai. Hamein aasha hai ki yah pustak vidyarthiyon shikshakon aur pratiyogi parikshaon ki taiyaari kar rahe abhyarthiyon ke liye samaan roop se upyogi siddh hogi. Lekhak ka aabhaar sabhi shikshavidon vidyarthiyon aur margdarshakon ke prati jinki prerana sujhav aur vishwas se yah karya sambhav ho paaya. Sunil Sharma Hindi vishay ke ek anubhavi evam samarpit snatakottar shikshak hain. Unhe Hindi shikshan aur shaikshanik lekhan ka 20 varshon se adhik ka anubhav praapt hai. Unhone Bikaner Vishwavidyalaya se Hindi mein Snatakottar Kurukshetra Vishwavidyalaya se Prabhakar aur B.Ed. tatha Maharshi Dayanand Vishwavidyalaya Rohtak se P.G.D.Y.T. ki upadhi praapt ki hai. Apni shaikshanik yatra ke dauraan Shri Sharma ne kai pratishthit rashtriya shaikshanik sansthanon mein karkashalon aur sammelanon mein bhaag lekar apni shikshan vidhiyon ko nikhaara hai. Unhone vibhinn vishayon par vidwanon se samvaad kar gyaan ka vistaar kiya aur chhatron ke saath apne anubhav saanjhe kiye hain. Shiksha ke kshetra mein unke yogdaan ko Bharat Sarkar ke Manav Sansadhan Vikas Mantralaya dwara sammaan-patra dekar maanyata di gayi hai. Vartamaan mein Shri Sunil Sharma ek pratishthit shaikshanik sansthan mein snatakottar shikshak ke roop mein karya rat hain. Ve chhatron ke shaikshanik aur vyavasaayik vikas mein sakriya bhoomika nibha rahe hain. Shiksha ke prati unka samarpan aur gyaan ka prachaar-prasaar unhe shiksha jagat ki ek amoolya dharohar banaata hai.
Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
557
820
32% OFF
Paperback
Out Of Stock
All inclusive*
downArrow

Details


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE