Boond - Samudra Se Saagar Tak kavya sangrah kavi ke jeevan ki sookshma boondon se lekar anant saagar tak ki bhavnaatmak yatra hai. Prem prakriti atmachintan aur jeevan ke gahan anubhavon ko sameti yeh kavitaayein - jaise ''Boond'' ''Dhyaan'' ''Kshitij Paar'' aur ''Sneh Se Baati Tak'' - hriday ko chhooti hain. Aaj ki bhagdaud bhari zindagi aur reels ki chakachaund duniya mein jahan sacchi khushi ki talash ek chunauti hai aise mein yeh kavya sangrah pathak ki peeth ko sehlata hai dularata hai aur sahi arth mein real happiness ka anubhav karvata hai.