*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹216
₹245
11% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Pustak ke baaren me ati vistaar se avgat karane Ki aavshykta nahi hai। Yeh pustak kuchh chuninda kahaniyon ka snklan hai chunki kahaniyan samaj or saahitya Ki amulya dharohar samjhi jaati hai jo samay or sthan ko na keval paribhashit krti hai apitu use ek naye mod par pahunchakar ek naye rng me bhavishya Ki swruplekha ka nirmaan bhi krti hai। kahaniyan ajibon - garib ho skti hai kintu un sabhi ka udshya paathak ko parimal manoranjan prdaan karane ke saath-saath uski jigyasha jo gyaan ke prti rahi hai us agni ko bhi shaant karane ke saath-saath use prgaadhta evm gambhirta prdaan karna bhi raha hai। Is pustak me kuchh esi hi navin nav-prkrti Ki evm atit me jhankti si kahaniyon ka sngrh karke paathko Ki prbudhta ke samksh parkhne ke liye upsthith Kiya hai। Bahut adhik gaharayi me bhi na jaate huye kuchh hi alfajon me bata dena arthpurn hoga Ki is pustak Ki kahaniyan paathko ko swym ke prtibimb se parichay karvaane ke maadhyam ke rup me ubharne ke pryas ke rup me prkt huyi hai jo nisndeh aaj ke dor ke saahitya ko hamare purvjon Ki lekhni ke sndrbh me ek nayi disa dene ka mahtvpurn pryas krti hai