Zindagi agar sawaal hai to zindagi hi uska jawaab bhi hai. Bas mahatva sirf is baat ka hota hai ki parikshak aur parikshaarthi ka drishtikon pariksha ka darshan kis nazariye se kiya jaata hai.Har kisi ki zindagi ke anubhavon aur yaadon ko sahejkar agar shabdon ki maala bana li jaaye to woh ek rang-birangi khushboo se bharpur aur mantramugdh kar dene wali hoti hai.Prastut sangrah mein mere dwara apne anubhavon ko chaar lainon mein Alfaaz Zindagi ke madhyam se vyakt karne ka prayas kiya gaya hai.Khamoshiyon aur dil ki uthal-puthal ke beech vyapt samvedansheelata ko chaar panktiyon mein sajaane ke is prayatn ki safalta ya asafalta ka paimana main paathakon ki alochanaatmak pratikriya par chhodta hoon.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.