Dastak / दस्तक : Shrinkhla ki Doosri Kitaab


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Fast Delivery
Fast Delivery
Sustainably Printed
Sustainably Printed
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.

About The Book

Dastak ek parikalpana hai Hindi ke 10 yuwa kaviyon ki rachanatmak duniya aur soch ko samne lane ki. In sabhi me apni pehchan sthapit karne ki purjor sambhavnae hain. Kuch Hindi kavita ki duniya me charchit hain to kuch apne pankhon ko fadfada kar ek udaan ki taiyari kar rahe hain. Yah kaal se ek hod hi to hai jiski taraf ishara karte hue prasiddh kavi Shamsher Bahadur Singh kehte hain ki “kaal/tujhse hod hai meri; aprajit tu-/tujh me aparajit main vaas karoon.” Yeh sankalan sirf shabdon ka sanchayan nahi hai balki us soch ko bhi pratibimbit karne ka prayas hai jisse sahitya ke jariye naye lekhak aur kavi ki ek nayi duniya banti hai. Vah duniya jahan insan is duniya ke hone aur uske bane rehne ke karno ki khoj karta hai sapne gadhta hai kuch naya srijit karta rehta hai aur vrihattar samajik samoohon ke sath milkar ise behtar banata hai.  Dastak shrinkhla ki pehli kitaab 1998 me Subodh Singh Shivgeet aur Devendra Kumar Choubey ke sampadan me aayi thi jis me Ranchi aur poore desh se 10 kavi shamil huye the – Mehrunnisa Abdali Sanjay Karunesh Manikant Thakur Lavleen Singh Subodh Singh Niharika SInha Akhileshwar Dayal Singh Virendra Kumar Yadav PriyaDarshan aur Devendra Choubey. Dastak shrinkhla ki doosri pustak aap sabke saamne aa rahi hai. Dastak ke pehle khand ki tarah is me humne un dus kaviyon ka chayan kiya hai jinka lekhan apne samay ko rekhankit karta hai. Durasal haal ke dashkon me yah duniya bhi badali hai sath hi Hindi kavita ki duniya bhi.
downArrow

Details