Yeh pustak ek dil ki yatra hai — jahan masoom khwabon se shuru hokar jeevan ki gehraiyon tak pahucha jaata hai.Yeh un rishton ki kahani hai jo bole nahi jaate bas nibhaaye jaate hain. Yahan seva ek pooja hai yaadein ek mandir hain aur har kavita ek deepak ki tarah jalti hai — kabhi prem mein kabhi tyaag mein kabhi maun mein.“Teri maa ki seva kiUske dukh mein saath rahiKabhi tumhe meri yaad aati to hogi?”Jaise panktiyan is sangrah ki aatma hain — jo paathak ko apne hi dil ki galiyon mein le jaati hain.Yeh pustak un sabke liye hai — jo rishton ko karm se nibhaate hain jo prem ko maun mein jeete hainaur jo dil ki masoomiyat ko jeevan ki zimmedaari mein badalte hain.