*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹252
₹305
17% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Sudhir ki kavitaaye kavita ke bane banaye form ko todti nazar aati hai. Sudhir ne kavita ke shilp ke naye prayogo ke saath naye bimb shaili ko aavishkrit karti hui jatil sanrachna waali kuch saral evam bahuaayami kavitaaye likhi hai. yahan kavitaaye kalatmak star par saghan evam saundaryavan hai. falo Is kavita sangrah se gujarte hue paathak kavitaao ki prishthbhumi mein paarshwa sangeet ki tarah prem virah ki anugoonj anvarat sunta rahta hai. kavi ke shabdo men mujhe yaad aa rahi hai tumhaari/aur main beech raaste se laut aaay hu apne ghar/jaise ki tumhaara aur mera ghar ek hi hai. Sudhir ki kavitaaye saundarya prem masoomiyat aur lalak ki aisi sugandh samete hue hoti hai jaise ped par lade kacche falo se aati sugandh jo kacchepan ki mitaas se ladi hui hai. - Gaurav Gupta (Poet Writer Translator commentator)