*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹212
₹240
11% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Girdaab stri -purush sambandhon per aadhaarit manovaigyanik upanyaas hai . upanyas ki kahani prem-ghrina sutra se bandhi hui hai jahan purn samarpan k bavajud bhi stri apni antarik suraksha aur swatantra k liye apne tamam antarvirodhon aur kunthaaon k sath sangharsh rat dikhai deti hai .nayak 50 varsh ka shadishuda purush hai aur nayika 40 varsh ki vivahita stri hai | dono ke apne bachhe hain lekindono ek dusre ke prem me pad jate hai aur unke beech sharirik sambandh sthapit ho jata hai .purush usk dosre shahar men le aata hai jahan vo apne pati ko chorh ker purush ki rakhail ban ker rahne lagti hai | stri purush ke prem me dub jati hai lekin purush ab uljhan mahsus karne lagta hai. Usko lagta hai un k beech prem nhin sex hai aur vo stri-deh k girdaab me phans gya hai .stri k sath sahvas karte hue use apni shakl soar ki tarah lagti hai.use lagta hai vo isi kaam k liye uske pass ata hai. Voghirna se bhar jata hai lekin stri per nazar padte hi vo hambistar hue bina nhi rahta. Aakhirkaar stri se chutkara pane k liye vo uski hatya ki yojna banata hai .