Achanak vah chillaayi Mai apne A.P. ko nahi chhod sakti! A.P. sirf mera hai. Maine kaha Yahi usase kaho! Usne darte huye kaha Nahi! Vah bahut darawani hai! Maine puchha Kya uske lambe-lambe daant hain? Kya uska chehra bhayavah hai? Usane kaha Nahi! Vah khubsurat hai. Lekin mujhe usase dar lag raha hai. Maine puchha Umra kitni hai us aourat ki? Usane kaha 25 saal ki hogi. Vah mujhe A.P. ko chhodne ke liye kah rahi hai. A.P ko bulao. Mujhe apne A.P ke paas jana hai.

Uske chehre ke bhaaw puri tarah ajnabi wa khatarnaak the. Pata nahi kyo meri reedh ke nichle hisse me dar ki sihran doudne lagi. Maine khud ko sambhala aur usase puchha Kya hua SU? (Mai use SU kahkar pukarta tha.) Vah kuch is tarah muskuraai mano mera mazaak uda rahi thi. phir usne dosti bhare magar kathor bhaw se kaha Mai Sunita ko boond-boond kar maar dungi. Kuch nahi kar paoge tum.

Vah mangalvar ki raat thi. Mai padmasan ki mudra me baitha tha. Tabhi mujhe aas-paas se payal ki awaz aane lagi mano payal pahne koi ladki ya mahila mere aas-paas chal rahi ho. Mai bina dare dhyan lagaye raha. Kuch samay paschat nupur ki awaz mere bahut paas aa gayi mano vah mere aasan par chadh gayi ho. Matlab vah mere behad kareeb thi. Mai phir bhi nahi utha. Tabhi band kamre me jane kahan se aur kaise hawa ka ek jhonka aakar mujhse lipatne laga. Hawa ka sparsh bada hi masti bhara aur manmohak tha. Mai use khud se door karne me asafal raha.

10 sachchi kahaniyaa

***BOOK IS NOT IN ROMAN

Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.