*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹197
₹199
1% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Hum sab likh sakte hain hum sab likhna chaahte hain. Koi harf utaarta hai safhaat par toh koi bas dil me liye firta hai. Ye kuch kisse hain kahaniyaan hai jo meri Hain aur shaayad aapki bhi. Kuch kavitaayein nazm aur sher jo zindagi par Hain zindagi ke liye Hain aur shayad jinke taalukaat mohobbat se Hain nakaamyaabi se Hain aur fateh se bhi. Ek taraf toh aapko ye sochne par majboor karenge aur dooji aur muskuraane ke kuch mauke bhi denge ye mere kisseh aapke kisseh. Har kissah haseen nahi hota kuch kisseh aapke zehen me dafn ho kar reh jaate hain humesha ke liye ek yaad ban kar. Yahi hai zindagi har waqt ek si nahi hoti. Jab sab theek dikhe toh zaroori nahi ki sab theek hai aur jab barbaad dikhe sab toh zaroori nahi ki kuch theek ho nahi sakta. Aapke faisle banaate hai aapki zindagi. Jab kabhi kuch theek naa lage apni kahaani me Toh badaldo kyuki ye aapki kahaani hai. Bohot kuch hai kehne ko par kehna hi hota toh likhta kyun. Mai dohraata hun ye kahaniyan sirf meri nhi aapki bhi hain. Toh chaliye Guftagu karte hain!