*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹187
₹250
25% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Hindi transliterated in English . Bediya jaati ki 12 saal ki ek masoom ladki Gulab ne 1931 mein Nautanki ki duniya mein apna pekhle kadam rakha. Iske baad safalta ki net nayi uchaiyon ko chute hue nautanki ki iss pehli adakara aur anek natakon ki heroine ne Great Gulab Theatre Company ki shuruvat ki. Gulab Bai ke yogdaan ke liye Bharat Sarkar dwara unhe Padamshri se bhi samanit kiya gaya iske bawajut unka aakhri samay dukh aur nirasha mein beeta kyunki jiss vidha ke prati unka pura jeevan samarpit raha veh unke saamne hi antim saanse le rahi thi. Gulab Bai ki vismrit ho rahi zindagi ko saamne laane aur shaily ke samajik itihaas ki punaranchna karne ke liye Deepti Priya Malhotra Gulab Bai ke gaon aur Kanpur ke Rail Bazar gayi unke parivar ke sadasyon aur saathi kalakaron se milkar jaankariyan aekatrit ki tatha nautanki ke script aur gaano ki recording ko khoja. Iss gahan kojbeen se jo kahani saamne aayi veh hai samaptpraye hoti kala aur sabke dilon par raaj karne vaali mallika Gulab Bai ki.