*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹238
₹250
4% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
yeh ek aam baat hai jail main rahnewale ya gundagardi mai mashhoor apharan firauti dakaiti rape jaise mammle main sanlipt honewale samajik karyakarta ko hi adhiktar party ticket deti hai. kyonki ke aise hi naami gramee log badi aasani se election jeet jaate hain. paty jab tak satta main aayegi tab tak garibon ki bhalayee desh aur rajya ka vias kaise karegi. aise hi mahaan logon ko dhyan main rakh kar ye kalpnik kahani likhi gayee hai. wo zindadil aur chulbuli thi. wo behad sunder aur khushmijaaz thi. uske bachpan ke pyar chh mahine pahle shaadi hui thi. wo bharpoor zindgi jeena chahti thi. wo zinda rehna chahti thi. ekdin kisi shaitan ne uska apharan kar liya. uske sare sapne toot gaye. uske jeene ki chah khtam ho gayee.aur ek din usne atmhatya kar liya. kis shaitan use aisa karne par majboor kiya? kya wo shaitan kabhi pakda jayegaa? kya us shaitan ko kabhi saza milegi?