“गलवान केHEROES” ek pustak hai jo Bharat aur China ke beech ke seema vivadon ke prabhav veer sainikon ki veerta aur unke balidan ke aspas ghoomti hai. Unki unsunni kahaniyon ko samne lana hai jo aam janta tak kabhi nahi pahunchi.Is kitaab ke madhyam se Bharat ke veer sainikon ke balidan unke parivaron ke sangharsh aur fauji zindagi ke kathin pehluon ko ek kahani ke roop mein baat karte hain. Is Kitaab ke Uddeshya 1. Itihas ki khoj: Galwan Ghati ke purane itihaas aur iske geographic rajnaitik aur sanskritik mahatva ko roshni mein lana. 2. Unsunni kahaniyon ka prastutikaran: Aisi kahaniyan jo shahadat ke baad gum ho gayi thi ya jo itihas ke panno mein jagah nahi bana payi. 3. Shaheedon ki veerta ka samman: Veer sainikon aur unke parivaron ki ankahee kahaniyan logon ke beech lekar aana. 4. Takraav ke asli kaaran: 2020 ke Galwan takraav ke peeche chhipe rajnaitik aur seema vivadon ke asli kaaran ko samajhna aur vyakt karna. 5. Fauji zindagi ke pehlu: Bharatiya sainikon ke sangharsh aur unki zindagi ke un pehluon par roshni dalna jo aam taur par samajh mein nahi aate. Kitaab Ki Visheshataein 1. Saty par aadharit: Yeh pustak tathya ghatnaayein aur prashasanik vivarano par aadharit hai. 2. Prerna aur samman: Yeh kitaab na sirf ek kahani sunati hai balki veer sainikon ke prati garv aur samman ka bhaav jagati hai. 3. Rajnaitik aur samajik pehlu: Ismein Bharat aur China ke rajnaitik sambandhon aur samajik prabhav ka vivaran diya gaya hai. Yeh pustak har us vyakti ke liye ek prerna hai jo apne desh ke sainikon ke sangharsh aur unke balidan ki mahima ko samajhna chahta hai. Galwan Ghati ke unsunne pehluon ka yeh safar ek aisi kahani ke roop mein prastut kiya gaya hai jo har Bhartiya ko garv aur shaurya ka ehsaas karata hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.