*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹290
₹345
15% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Hm Janm Lete hain aur mar jaate hain. Is beech ke khel ka naam hmne duniya rakha hai. Duniya ek dhoori par tiki hai jise hmne ‘ishq’ kha hai aur janm lene se marne tak ke faasle ko hm ‘zindgi’ shbd se paribhasit karte hain. Ab ye jo zindgi hai jisme sara waqt hm ishq ko khoojne me guzaar dete hain aur usi khoj me hm ya to inqalaabi ho jaate hain ya ahimsaavadi aur antatah hmare hath aati hai maut jise logon ne aakhiri padav maan liya hai. Yah kitaab unhi uljhanon ke naam hai jo zindgi ishq ki khoj me bhatakti hui ahimsavaadi aur inqalabi dono raaston par chalti hue hme aakhiri mukaam pr le jati hai. Antatah kuchh nhi bachta. Bachti hain yaaden ishq aur kitaab. Yaad itihaas rakhta hai ishq logon me zinda rahta hai aur kitabaen har yug ke liye rasta ban jati hain. ‘Inqalaab-e-ishq’ dono raston (inqalaabi aur ahimsavadi) barabr kadam rakhta hua apne mukaam ki oor badhta hai jo anant hai jise paribhasit nahi karna chahiye. Hme bss ishq karna chahiye.