Rajasthan jise ''Marubhoomi'' aur ''Rajaon ki Bhoomi'' ke naam se jaana jaata hai apni shaurya gathao bhavya kilon aur rangeen sanskriti ke liye prasiddh hai. Lekin iski sunhari ret ke neeche ek aur kahani dabi hui hai — ek aisi kahani jo sadiyon se andekhi aur ankahi rahi hai. Yeh kahani hai us dard us apmaan aur us anyay ki jise Rajasthan ki Dalit jatiyon ne apni niyati maankar jiya. Kanjar Dholi Bhangi aur anya kai achhoot jatiyon ke liye yeh bhoomi kabhi ''Rajaon'' ki nahi balki unke daman aur shoshan ki bhoomi rahi hai. Is daman ko aksar ''kismat'' ka naam dekar samaj ne apni zimmedari se palla jhad liya. ''Jakhmi Rait'' usi vyatha ka pratik hai jo marusthal ki mitti mein sama gayi hai lekin aaj bhi Daliton ki aatma mein jeevit hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.