Rajya aur uske kanoon ki nigaah men sabhi nagrikon ki samanta kaa adarsh sthaapit karne waala Bhartiya samvidhaan apne amal ke 70 saal poore karne jaa raha hai lekin janm ke adhaar par samajik darza tay karne waali jaati-vyavastha ki jakadbandi na sirf badastoor jaari hai balki pichhle kuchh varson me adhik akramak hui hai. Aisa kyon hai? Ise taqat kahan se milti hai? Iskaa nidaan kya hai? In sawalon par lagatar sochne ki zaroorat hai khaas taur par tab jabki kendra samet bharat ke anek rajyon ki satta unke haathon me hai jo vichaardharatmak star par bhartiya samvidhan ke muqable manu smriti ke zyada karib hain.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.