Khamoshiyon ki syaahi: Jo kaha nahi wahi mehsoos hua

About The Book

Kabhi-kabhi dil mein aise jazbaat hote hain jinhe hum chaahkar bhi kisi ko samjha nahi paate. Ye wahi ehsaas hain jo khamoshi mein panapte hain hamari rooh mein utar jaate hain aur waqt ke saath hamari pehchaan ka hissa ban jaate hain. Yeh kitaab un lamhon ki khushboo hai jo guzar to gaye magar kahin bheetar hamesha ke liye thahar gaye. Har kavita har pankti mere dil ke un konon se nikli hai jahan khushi aur gham dono ne apne nishaan chhode. Jahan hansi ke befikr pal bhi rahe aur aansuon ki chupchaap kahani bhi jahan rishton ki mithaas bhi basi hai aur unki kadwahat bhi. Jahan ummeedon ki roshni hai aur beete dard ki chaaya bhi jahan khamoshi aur shor – sabhi ne saath mein apna ghar banaya.
Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
downArrow

Details


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE