Know Your Soldiers: The Heroes Behind the Nation's Strength

About The Book

About the Book: Yeh kitab Bharatiya sena ke sainik ke jeevan ki sachchi aur vyaktigat yatra ko darshati hai jismein uske sangharsh balidan aur kabhi-kabhi behad khushi ke pal bhi shamil hain. Apne Sainik Ko Jaano (Know Your Soldier) kitab mein maine apni kahani ke madhyam se Bharatiya sainik ke jeevan ke vibhinn pehluon ko saanjha kiya hai. Yeh kitab sirf ek sainik ki drishti se nahi balki ek Bhartiya ke drishti se likhi gayi hai jo humare desh ki sena ko samajhne aur usse sarahne ka ek prayas hai. Is kitab mein aap mere pehle safar se lekar sena ki kathin dincharya khanpaan neend kaam ki jimmedariyan vetan aur promotion tak ki kahaniyan padhenge. Sainikon ke maansik aur shaareek sangharshon ko darshate hue maine in sabhi adhyayon ke madhyam se sainik jeevan ke sangharshon ko ujagar kiya hai wahin khushi ke pal aur bada khana jaise adhyayon mein jeevan ke halke aur khoobsurat lamhon ko bhi dikhaya hai. Hamare jeevan mein retirement canteen ki bhumika aur sainik ke swaasthya ki dekhbhaal jaise chhoti-chhoti baatein bhi is kitab ka hissa hain jo shayad aam taur par dhyaan mein nahi aati lekin ek sainik ki zindagi mein inka bahut mahatva hai. Yeh kitab na sirf sena mein seva de rahe vyaktiyon ke liye balki sabhi pathakon ke liye ek prerna aur gyaan ka srot ban sakti hai. Umeed hai ki yeh pustak aapko Bharatiya sainikon ke prati samman aur samajh ko aur gehra karegi aur aapko unki kathinaiyon balidan aur seva ke mahatva ko mehsoos karne ka avsar milega. About the Author: Kahte hain insaan ki pehchaan uski zameen aur uske sapno se hoti hai. Meri kahani bhi ek chhote se gaon Bhavriya Para Gonda (Uttar Pradesh) ki maati se shuru hoti hai. Wahi ke khet-khalihano aur sangharshon ke beech maine zindagi jeena seekha. Lekin yeh yatra sirf wahan khatam nahi hoti. Yeh kahani ek aise safar ki hai jahan se mere sapno ko pankh mile aur unhone Bharatiya sena ki wardi mein aakar liya. Mera naam Arun Prajapati hai lekin mere gaon ke log mujhe 'Rahul' ke naam se jaante hain. Yeh naam mere jeevan ka pratibimb ban gaya aur is naam ne mujhe meri pehchaan di. April 2015 mein maine Bharatiya Thal Sena mein sipahi ke roop mein apna pehla kadam rakha. Ek sainik ke jeevan mein milne wali chunautiyan tyaag aur nishwarth seva ne mujhe badal diya. Lekin us badlaav ke beech ek sawaal ne mujhe andar tak jhankhor diya - Kya hamare samaaj ko un sainikon ki asli zindagi ke baare mein pata hai jo apni har saans desh ke liye samarpit karte hain? Yeh sawaal mere mann mein Bikaner Rajasthan ki un shaant raaton mein goonjta raha jahan main apni posting par tha. Wahi maine kai kitaabein padhi lekin mujhe unmein Bharatiya sena ki sachai nahi mili. Tabhi yeh khyaal aaya ki main khud un ankahi kahaniyon ko shabdon mein dhaaloon jo sainikon ke dil se nikal kar logon ke dil tak pahuch sakein. Meri is yatra ka har kadam mere mata-pita ke aashirwad aur unki prerna se bhara hua hai. Unhone hamesha mujhe sikhaaya ki sangharsh hi sacchi safalta ki neev hai. Unke bina yeh yatra sambhav nahi thi. Unka samarthan har kathinai mein meri dhaal bana aur mujhe yeh vishwas dilaya ki agar iraade sacche hon to koi bhi manzil door nahi hoti. Meri kitaab 'Know Your Soldier' sirf kahaniyon ka sangrah nahi hai. Yeh ek prayas hai un veeron ke jeevan ko samajhne ka jinki nishwarth seva humein surakshit rakhti hai. Yeh unke sangharsh tyaag aur balidan ki jhalak hai jo har Bharatiya ko sena ke kareeb laati hai. Yeh kitaab un logon ke liye hai jo sena ki asal zindagi ko mehsoos karna chahte hain. Mera uddeshya hai ki yeh kitaab har paathak ke dil mein karuna garv aur shraddha ki bhavana paida kare. Main chahta hoon ki yeh kitaab sirf padhi na jaye balki mehsoos ki jaye - kyunki yeh sainikon ke jeevan ka sajeev dastavez hai.
Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
downArrow

Details


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE