Is chhandavali mein jeevan ki anubhootiyon ka chitraṇ hai. Kavitaon mein vyaktigat samajik rashtriya tatha vaishvik star par paristhitiyon aur visangatiyon ka kavyaatmak vivaran hai. Vyakti tatha ghatnaon ka avalokan unki maansikta ko samajhna kavitaon ko anutha banata hai. Vyaktigat anubhavon par aadhaarit yah kavitaayein paathak ke maanas ko jhakjhor kar sochne ko majboor kar deti hain. Samaj aur desh mein vyapt kuritiyon kuprathaon aur anyaay par vyangaatmak kataksh ke saath hi samasyaon ko suljhaane ke upaay bhi inmein samaaveshit hain. Yah kavitaayein desh mein faile bhrashtachar dabangai paakhand aur asamaanata ko saahas aur jeevat ke saath chunauti deti hain.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.