Is sangrah ki kahaniyan tatkalin samaj ke sarokaro se judi hui hain aur apne samay ko pratibimbit karti hain. Adhikansh kahaniyaan samajik ghere ko todte hue navin sandesh deti pratit hoti hain. Ye kahaniyaan apne samay me pratisthit patra-patrikaon me prakashit hai lekin apne kaal me in kahaniyon ka sangrah ke roop me prakashan nahi ho paya isliye in kahaniyon ka mulyakan bhi us roop me nahi ho paya jis roop me hona chahiye tha. Vartmaan me iska prakashan sodharthiyon aur kahani par kaam kar rahe logon ke liye upyogi hoga. Awadh Narayan Prasad ek siddhast kahanikaar aur shabdchitra lekhak ke alawa bahut hi pratisthit sampadak - patrakaar bhi the. Inhone varshon Chotanagpur Darpan jaise saptahik patra ka sampadan bhi kiya.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.