Lekh Sangrah / लेख संग्रह: प्रथम संस्करण

About The Book

Shabdon se pare maun ki ek yatra...

Kya aap adhyatmikta ke vaastavik svaroop ko samajhne ke liye taiyaar hain? Kya tantra mantra aur sadhana ke peeche chhipe arth ko bina bhram aur bhay ke jaanna chahte hain?

Acharya Rituraj Dubey dwara rachit Lehkh Sangrah keval padhne ki pustak nahi balki aatmanveshan ki prerak yatra hai. Yah paathak ko baahari dharmik aadanbaron se hataakar ander sthit chetana aur shakti ki pehchaan karvati hai. Yahaan tantra ko jaadu ya chamatkar nahi balki chetana ke vigyaan aur aatma-saakshaatkaar ke maarg ke roop mein prastut kiya gaya hai.

Is sangrah mein shaamil lekh sadhana guru-tatva urja vigyaan havan aur smashaan sadhana Ved aur Tantra ke samanvay Swarnakarshan Bhairav Shakti-upasana aur ahankaar se mukti jaise gahaan vishayon ko saral aur anubhav-poorn shaili mein samjhate hain. Har prishth paathak ko sochne samajhne aur apne ander ke satya ko khojne ke liye prerith karta hai.

Yeh pustak un sabke liye hai jo dharm ko maanne se aage badhkar jaanana chahte hain. Jo baahari shor mein nahi ander ki nistabdhata mein jeevan ka arth sunna chahte hain.

Yadi aap adhyatm ko jaankari nahi anubhuti ke roop mein jeena chahte hain to yeh pustak aapke maarg ki saathi banegi.

Lehkh Sangrah - ander ki chetana ko jagane wali ek yatra.

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
downArrow

Details

LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE