*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹150
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Pablo Neruda ke hisaab se roti aur kavita sab ko milni chahiye. Mai bhi unki is baat se poori sehmati rakhta hun. Ye kitaab isi liye likhi gayi hai. Insaan ko insaan uski jazbaaton ko mehsoos karne ki kshamta hi banaati hai. Yeh kitaab kavita aur laghu kathaaon ki na hokar us kshamta hi ki hai. Yeh kitaab un logon ke liye hai jo mehsoos karna jaante hain ya seekhna chaahte hain. Na to in kavitaon mein apko beher milegi na in kahaaniyon mein tark. Unki khoj karna waise bhi fuzul hota hai aur is kitaab mein to hargiz hi rahega. Yeh kitaab tarkheen aur tuk-rahit kahaaniyon aur kavitaaon ka sumel hai. Kitaab acchi hai ya buri ka daawa krna mere hisaab se galat hoga. Yeh mushkil faisla mai khud se behtar logon par chorhta hun. Aap apna faisla humein zaroor bataaiyega.