Kya das-varshiy bachchi philosophical bate soch-samajh sakti hai? Kya koi Hindi-bhashi bachcha bina padhe-sune urdu ke bade-bade shabd bol sakta hai?Kya koi sadharan-parivar ka bachcha jivan ke vibhinn rang: sukh-dukh asha-nirasha jivan-maran nyay-anyay amiri-garibi chuppi-maun hansi-rudan guru-shishy khushi-gam tana-bana ram-naam ya prakriti rahsyo bare soch sakta hai?Hairan mat ho! Miliye aisi anokhi bachchi se jo anjane me hi sirf 1½ -varsh ki aayu me layabadh gane lagi. Apni 10-21 varsho tak rachit kavitaon me kabhi 10-varshiy nanhi prakriti ke drishyo me achchhai khoj-kar prakash-kirne bikhrati nazar aati hai to kabhi achchhai-burai ke nazariye ko paribhashit karti!kabhi 13-varshiy balika aatma ki fatkar sunti hai to kabhi khudko hi bantte dekhti hai! Kabhi prabhu se duniya ki krurta bare prashn karti to kabhi usise apni chahat ko bayan karti dikhti hai!Yahi nahi 14-varshiy balika kabhi samaj ke anyay v manav-jivan ka sach bayan karti to kabhi anyay ke viruddh sangharsh ka marg dikhane ko kahti hai.Kabhi 15-varshiy kishori apni guru-ma ki mahanta v apne baunepan ka ahsas karati hai to kabhi usike diye sach ka varnan karti hui!Bachpan me jivan ke vibhinn rangon ka ahsas karati yeh balika manavta-samaj prakriti-paryavaran v vigyan ke prati jo sanjidgi dikhati aai hai vahi spirit America me Sr. paryavaran vaigyanik v meditation teacher hote hue bhi usne barkarar hi nahi rakhi apitu kai guna jyada samajik sarokar se kary kar rahi hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.