*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹158
₹180
12% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
About the book: Mera dark ek 60 kavitaon ki kitaab hai Jiske dwara Kartik Mittal ne kavitaon ki khubsurat duniya mein apna aagman kiya hai. Mera dark se kavi apne shabdo ko jod kar kuch kavitayein prastut kar rahe hain. Jinme bhagwaan se lekar bharose aur zindagi ke kayi vishyon par kavi ka nazariya jhalakta hai. Manushya ki tez raftaar zindagi aur rishto ki ehmiyat aur unme aane wale utaar-chadhaav par se parda uthaaya gya hai. Mahilaaon ki sthiti or desh ki vyatha tatha kranti ki chingaari ke sath humare aaj ko aaina bhi dikhati hai mera dark. Rachnatmak tareeke se likhi ye kitaab na sirf mann ko prasann krti hai balki hume samaaj ke anek pehluon se waakif krati hai. Kavitaon ki duniya mein amar rehne ke liye kavi ne khudki kalam ko Ayyaar naam dia hai. Ek lambe safar ka pehla kadam hai mera dark. Asha hai koi na koi kavita apko khush karegi ya ek nayi soch ka beej apke mann mein bo degi. About the author: Kartik Mittal ek vidhyarthi hai. Jo kitaabon ki duniya mein apna yogdaan dene pehli baar apni kitaab mera dark ke sath aaya hai. Yun to vo kareeb 3 saal se sahitya ka niyamit paathak hai or likhte aaya hai. Par use pehli baar mauka mila hai ki apni abhi shuru hui zindagi mein huye kuch anubhavo ko aap sab ke samne rakh sake.