*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹162
₹165
1% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Lekhani maa vinapani ka paryaye hoti he. lekhni ka vardan manav ki asmita ka parichayak he. insan pashuo se isliye shreshth he kyuki insan ke pas lekhni he. varn shabd vakya ki buniyad par sarthakta ka praktya lekhni ke madhyam se sambhav ho pata he. mere atipriya shri shailendra jain ne meri lekhani ke bhinn rup me lekhani ke mukdhakari vividh aayamo ko kushaltapurvak ukera he. anuj shailendra ki indradhanushi lekhni bhinn bhinn rango ka samvet prasfutan he. lekhan ki is sangatik sargam me shringar ke naj nakharo se aplavit shararate he to dhardar vyango ki tikshanta bhi he. samsamayik chetna ko prakharta se uddghatit karne ka sadprayas he to gazlo ka komalkant vinyas bhi he. Aj ka manjar or kl ka aaina lekar snehil shailendra jain ki lekhani ap vigya pathako ki adalat me upasthiti darj karwane ja rahi he. pehli amad he to apka pehla pyar bhi milna chahiye . Is yug me aacha padna kathin he likhna adhik kathin chhapwana to or bhi adhik kathin. bhrata shailendra ne tino kathin karyo ka halaf uthaya he or ek nek mukam tak pahuchane ki yatra ka shri ganesh kiya he. ap sabka snehashirwad va margdarshan hi shailendra ki is yatra ko shikhar tak pahucha sakta he. me snehil shailendra ko svastikamnaye preshit kar raha hu ki vah sahitya sadhana ke supath par anvarat badta rahe. kamyabi uske charano ki cheri bane or lekhani apne mata pita guru ke mastak ko sada sarvada goravanvit karti rahe. Professor Dr rajiv sharma