Naina Kah Denge Roye... / ????-??????: ???? ?? ????? ???...

About The Book

Nayan deh ki dehri nayan jagat shringar

Nayan kahein mann ki sada nayan chetna dwar

Doha ek ardhsam matrik chhand hai jismei char charan hote hain. Visham charno (pahla aur teesra) mei 13–13 matrayein aur sam charno (doosra aur chautha) mei 11–11 matrayein hoti hain. Visham charno mei arambh mei prayah jagan (laghu-guru-laghu) taalte hain lekin yah anivaarya nahi hai. Sam charno ke ant mei laghu maatra ka hona aavshyak hota hai arthaat guru-laghu.

Doha ke madhyamse badi se badi baat sankshep mei kahne hi vidha bahut pracheen rahi hai.. hindi sahitya ke itihas mei bhakti kaal mei prachur roop se yah vidha dekhne ko milti hai–Tulsi ho athva Kabir jinke dohe aaj bhi apni prasangikta apnaye hue samaj mei charchit hain. Samaj mei faili vikritiyon par kuthaaraghat ho.. athva apne swami ke prati bhakti bhara prem samarpan sab kuch kai rango mei ranga aaj bhi sahityakash mei indradhanu ki tarah prabhavaan hokar prakashit hai. Prem ka amolak ras.. krodh ka talkh swar.. samaj mei utthan ki prakharta sabhi kuch doha ki vidha mei dekhne ko mil jaata hai.

Maine apne iss sangrah mei kuch alag ya naya kahne ko koi maulik prayaas nahi kiya hai mera kathan saahitya ke daayre mei bandhe chhand shastra ke anuroop hi kahan ka chota…laghu prayaas hai.

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
downArrow

Details

LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE