naye safar ki or / नए सफ़र की ओर : Ek Pravaasi Bhartiya Ke Sapnon Aur Chunautiyon Ki Kahaani


LOOKING TO PLACE A BULK ORDER?CLICK HERE

Piracy-free
Piracy-free
Assured Quality
Assured Quality
Secure Transactions
Secure Transactions
Fast Delivery
Fast Delivery
Sustainably Printed
Sustainably Printed
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.

About The Book

Zindagi hai to mushkilein hain mushkilein hain to raaste hain. jindagi mei vakt kabhi ek jaisa nahi rahta .Har mod par jindagi chaunkaati hai har mod ke baad ek naya raasta ek nayi manjil mil jati hai ... Kabhi hamari chaahat to kabhi kismat hamein vo raaste dikhaati hai aur jindagi hamein chalna sikhaati hai . dur dur tak jiski kalpana bhi man ne nahi ki hai vo sab aise ho jaata hai jaise sab pahle se nirdharit ho rakha ho .raaste mei aa rahi kathinaaion se paar pa bina dagmagaye jindagi ka safar pura karna har din kisi nayee chunauti ka samna karna naye tjurbe nayee vichaardhara naya josh ..jeena isi ka naam hai  Is upanyaas ki kahaani jeevan ke isi saty se hamein rubaru karavati hai . jab unchi digreeyan lekar bhaartiy yuvak apni dharti par apne sapne talaashne ki jagah videsh mei apna sapna talaashna pasand karte hain to anek kadvi sachchaaiyon ka samna karna padta hai . Aise mei jo inse ghabraye bina chunautiyon ka samna kar lete hain vahi jeevan ke yoddha kahlaate hain   Kahaani ka naayak Amit bhi un mei se ek hai .Jindagi use har mod par chaunkaati hai pratikul pristhitiyaan utpann karti hain lekin haar n maante hue vah nayee soch aur buland hausale ke saath unko chodkar aage badh jaata hai .Amit ki yah kahaani un yuvaaon ke liye ek paigaam bhi hai jo apne path ka nirmaan karne nikalte hain lekin path ke kaanton aur kakadon ko dekhkar palaayan kar jaate hainaur jeevan mei kuchh bhi haasil nahi kar paate hain .
downArrow

Details