About the Book: Ghazal ka har ek sher apne aap mein mukammal hota hai is baat se aap bhi sahmat honge aur is baat se bhi aap ittefaq rakhte honge ki ek hi radeef kaafiye ke kuch ashaar milkar ghazal ka roop le lete hain phir aap to yeh bhi jaante hi honge ki ghazal ka har sher alag alag maayne rakhta hai. Ghazal ka koi bhi ek sher isiliye kahin bhi kisi bhi mehfil mein aksar padha suna jaata raha hai. Ghazal ka ek iklota sher bhi poori daastaan keh jaata hai. Aaj ke is vyast daur mein poori ghazal na to padhhi jaati hai aur na kahin kisi mehfil mein udhrut ki jaati hai. Isliye aaj ke is tang mahaul mein mahaul ko banaye rakhne ke liye shaayar bhi mushayare mein apne chuninda ashaar hi padhte hain. Agar sahi moqa par sahi khyaal ka sher padh diya jaaye to yun samjhiye aapki poori baat aapki poori vichardhaara saamne wale tak pahunch jaati hai. Sirf ek sher ki do laaynen duniya bhar ko aaina bhi dikha sakti hain aur raasta bhi. Bas ishi baat ko dhyaan mein rakhte hue apni ghazalon ke kuch alag alag khyaalaat ke ashaar lekar haazir hua hoon. Ummeed hai ki ashaar ka yeh ‘guldaan’ aapko pasand aayega. Duniya ko dekhne ka nazariya sabka alag hota hai mera yeh ‘nazariya’ aapko kaisa laga bataiyega... Is kitaab ke prakaashan ke liye main Blue Rose Prakashan ka dil se aabhaari hoon jinhone chand hi dino mein ghar baithe baithe mujhe yeh kitaab mere haathon mein saunp di aur duniya bhar ke pathakon ke liye Amazon Flipkart aur Blue Prakashan ke platform par uplabdh karwaayi. Khyaalon ko alfaaz ki shakl mein Nazr kar raha hoon ‘Nazariya’ mera Aapka Gulshan Madan About the Author: Janm: 18 Janwari 1961 (Maan ne kaha tha) 05 February 1959 (Raajkiya record mein) (Kaital-Haryana) Shiksha: Kala Snatak Vyavsay: Bharatiya State Bank se Adhikari pad se retired Vishesh: Hindi film Rashifal ke nirmaan aur nirdeshan ke saath patkatha samvaad aur geet lekhan. Samprati: Ghazal kahani laghukatha upanyas doha sangrah haasya vyangya baal geet aur anuvaad krutiyon sahit Kul 21 pustakein prakashit. Samprapti: Haryana Sahitya Academy ke saujanya se Shreshth Kruti hetu 2016 mein puraskrit aur Babu Balmukund Gupt Samman 2019 (Rashi 2 lakh) hetu Mukhyamantri Haryana dwara sammanit. Doordarshan aur Akashvani ke liye Prasar Bharati dwara approved shayar ghoshit. Rashtriya star ke samachar patraon aur kavya sangrahon mein anekanek rachnaayein prakashit. Ek sau pachhas se adhik sansthaon dwara sammanit. Filmon aur YouTube ke liye geet lekhan. Film 'Rashifal' 'Ae Kaash ke Hum' aur 'Kake' hetu geet lekhan. Ab tak pandrah serial chaar filmon aur teen vigyapanon mein abhinay. Suparshv gaayak Bhupinder Ji Mitali Ji ki album 'Tu Saath Chal' aur 'Kuch Intezaar Hai' (Universal company) aur film Suparshv gaayika Sadhna Sargam Ji ki album 'Mere Naam Likhna' (T-Series) ki albums mein ghazalein shamil. Iske alawa YouTube par geetkar ke roop mein beesiyon videos uplabdh. Ab tak do shodharthiyon dwara M.Phil aur ek shodharthi dwara Ph.D. sampann.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.