mere dwara likhit es pustak me mukhay kendra shodharthio ke sath sath samanya star ke vidhyarthio ko bhi rkha gya h jo ki sawampathi k rup me bhi asani se es sandharbh ki vyapak evam gahan samjh ko viksit kar skte h. bhart ka partyek nagrik es pustak k adhayayan se yah asani se jan payega ki adhunik bharat k nirman me nehru ki vaicharik virasat kaise unke virodhio k chintan me bhi aj prasangik bni hui h. pustak ki bhasha saili ko bhut hi saral or subodh sawrup diya gya h. es rchna me nehru ki prajatantrik smajwad] loktantra yojnabadh vikas evam aoudhyogikaran ki avdharna ka vyapak sarthak pramanik visleshnantamak tarkik vivechan kiya gya h. yah pustak anya purv racnao se es sandarbh me bhinn h ki eske antargat sanbhandhit paksh vipksh ko shamil karne ka pryas kiya gya h jisse ki nehru k vicharo ka samagra vishleshan kiya ja ske. yah pustak vishesh rup se nehruvian shodharthio ke liye bhut upyogi v sarthak sidh hogi.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.