*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹155
₹160
3% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
‘Nepathya mein’ ek prayas hai jeevan ke kuchh pahaluon ko gungunane ka kuchh marm ki baat batane ka aur prem ko vyakt karne ka. Kisi ek vidha (Kavita ya Ghazal) ya kisi ek bhasha (Hindi ya Urdu) ko kendra mein na rakhte huye yah kitaab ek guldastanuma ehasas hai. Ek aisa guldasta jismein rachnaon ko padhne ka anand phoolon ki mehak sadrash bhasha ke kathor vyakaran ki seemaon mein nahin rukta. Bhavnayein mool swaroop mein hi kagaz par utar kar kabhi kavita to kabhi ghazal ban jaati hain. In rachnaon mein saamajik parivesh samaaj ki kureetiyon aur vartmaan ki jwalant samasyaon se lekar prem ki abhivyakti ko darshaya gaya hai. Paathakgan in rachnaon ko padhate samay na kewal swayam ko is prayas ke prerak rahein bhavanaon ke usi taar se jod sakenge apitu nepathya mein chal rahi is yatra ke sahbhagi bhi ban payenge.