*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹229
₹250
8% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Popualr Culture ki avdharna aur usse vyavharik satar par samajhne vaali behtarin kitab. Papalu Sanskriti na to Popular Culture ki avdharnaon ka anuvaad hai aur na hi hindi samjhi janevali lokpriya sanskriti ka praya roop. Inn dono se alag yeh unn sandarbhon aur unke vishleshan ? padhti ki khoj hai jahan Ice- Udhyog ( Information Consumerism aur Entertainment ) dwara bataye gaye tarikon ko apnakar alag-alag haisiyat aur samajh ka shehri gramin metro aur kasbai samaj dhere -dhere madhaye varg ki aor khisakta chala ja raha hai . Iss arth mein yeh kitab popular culture ko mehej jeevan shaily aur sanskriti ka ek roop maanne ke bajay uss jatil aarthik ? saanskrittk prakriya ka hissa maanti hai jiske bhitar azadi prem pleasure stri ? mukti aur nagarikta ke naye maayne paida hho rahe hain.hindi ki duniya mein vimarsh ke naam par ektarphi boodhikta laadne aur aam janta ki baat karte hue bhi elite ho jaane ki aadat se alag yeh kitab apne vimarsh mein naagrik upbhogta aur audience ke pakshon aur gatividhiyon ko bhi detail roop mein shamil karti hai. sambhavteh yahi vajeh hai ki yeh kitab media aur bazar kki takaton se honevale badlavon ki vajib aalochna karte hue bhi sambhavnaon ke chihn ki talash karti hai. Paath ke lyrical andaz aur sandharbhon ke sachepan ki vajah se yeh kitab shuru se anat tak hamare upar maujuda sankriti aur badlavon ka sandharbh-kosh jaisa asar chodti hai.