‘Phool aur Kaante’ rozmarra ki zindagi mein mehsoos hoti vibhinna maanasik bhavnaon aur pratikriyaswaroop abhivyaktiyon ka sankalan hai. Aadhunikta ke ghode par sawar rang badalti duniya nai anubhutiyon ka bhandar hai. Takneeki avishkaron se duniya simat kar ek ghar ki tarah ho gayi hai lekin paramparagat rishton mein hi bhaavnatmak dooriyan banti ja rahi hain. Nai duniya ke is gulshan mein mehakate phool hain to chubhte kaante bhi hain. Puratan aur naveen vyavasthaon ke virodhaabhaas se utpann antardwand ne ‘Phool aur Kaante’ ki kavitaon ko janm diya hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.