About the Book: Priya-Pravaas Hindi Khadi Boli ka pratham Mahakavya hai jo swanaam dhanya Mahakavi Ayodhya Singh Upadhyay Hariodh ki amar kriti hai; kintu kitne log jaante hain ki yah Mahakavya us rashtra-bhaasha Hindi ka sheesh-mukut hai jis par humein garv hai! Phir se sahitya-premiyon ko Hindi sahitya ki jadon tak le jaane ke uddeshya se ise sankalit evam sampadit karke prakashit kiya gaya hai. Atyant sumadhur kavya ke roop mein Yug-Purush Shri Krishna ke Gokul se Mathura pravaas aur unke viyog se vyathit Gokul-vaasiyon ki virah-vedana ka saras chitra ismein hai. Vah ek prakaar se har praani ki vedana hi hai jo vah us samay anubhav karta hai jab koi swajan pravaas hetu jaata hai ya prayaan karta hai jo ki sansriti ka apariharya lakshan hi hai. Aasakti moh aur mamta sab dukhon ka mool hai; gyaan dukhon se mukti ka saadhan! Is mahaakhyaan ka yahi saar atha chaitanya sandesh samajh mein aata hai. Hindi bhaasha dekha jaaye to baatoon ki bhaasha hai; padhne-likhne waale usmein gine-chune hi hain; pustak kharidkar padhne waale to utne bhi nahin! Ataev prastut Mahakavya mein kuch ruchi jagrat karne ke dhyey se prakaashakeey ke roop mein sarg-kram se thoda vivaran bhi diya gaya hai. Priya-Pravaas ki bhoomika ek prakaar se kavya-shaastra ka poora vivechan hi hai. Atah bada upaadey bhi hai: paathakon ke liye bhi udiyamaan kaviyon ke liye bhi. Ismein satrah sarg hain aur Gokul ki ek shaam se shuru hokar yah Kans dvaara Krishna ko Mathura bulaaye jaane se Braj mein utpann maanveey vikshobh ka marm-sparshi chitra hai jismein aasakti moh pranay ityadi ke kaaran vikal hote Brajvaasiyon ke samaksh gyaani Uddhav ki vishwastha ka bhi bada saras chitra hai; moh-grast jan viraag ki baat nahin sunte! About the Author: Hariaudh kavya-kala ke marmagya Kavi-Samrat Ayodhya Singh Upadhyay Hariodh aadhunik yug ke mahaan kavi the. Unka janm 15/04/1865 E. mein Azamgarh ke Nizamabad kasbe mein hua tha. Ve Sanskrit ke acche vidvaan the. Kuch ek varsh sthaniya middle school mein adhyapak rehne ke baad aap kanungo ho gaye jahan ve bees varsh sevarat rahe. Seva-nivritt hokar aap avaitanik roop se Kashi Hindu Vishwavidyalaya mein Hindi ka adhyapan karte rahe aur Hindi ki prachur seva ki. Unhone Khadi Boli Hindi ka pratham Mahakavya Priya-Pravaas Hindi jagat ko diya jo apne hi dhang ka niraala kavya hai. Is Mahakavya par unhe Hindi Sahitya Sammelan dvara Mangala Prasad puraskar se sammanit kiya gaya tha jo apne samay ka Hindi jagat ka Nobel Puraskar hi tha. Unhein Sahitya Vachaspati ki upadhi se bhi abhihit kiya gaya. Antatah 16/03/1947 E. mein aapne ihlok se prayaan kiya. Hariodh ki rachnaon mein desh-seva samaj-seva aur rashtra-prem ki bhaavnaayein prakharata se vidyamaan hain. Unki pramukh kritiyan hain: Mahakavya: Priya-Pravaas Vaidehi-Vanvaas Muktak Kavya: Chokhe Chaupade Chubhte Chaupade Ras-Kalash Bol-Chaal Pady-Prasoon Kalp-Lata Premambu-Pravah Prem Pushpohar Aalochanatmak Granth: Hindi Bhasha aur Sahitya ka Vikas Kabir Vachanavali ki Aalochana Ras-Kalash aadi ki Bhoomikaayein Upanyaas: Theth Hindi ka Thath Adhkhila Phool Premkanta Naatak: Pradyumn-Vijay Rukmini Parichay
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.