*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹173
₹175
1% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
Purani Razai.....Ehsason ka safar pustak lekhika ka pehla ek kavya sengrah hai. Is pustak mein ek manushya ke jeevan ke sabhi rishton aur unke ehsason ka bahut hee khoobsoorti ke saath chitran kiya gaya hai. pustak mein aisi kavitayein hain jo vyakti ko kabhi na kabhi apne jeevan mein un pehluon ka ehsaas karwane mein saksham jaan padti hain jin palon ko shayad wo kabhi bhool nahi sakta. kavitaon mein pramukh taur se maa aur bachhe ke rishte ko darshaya gaya hai. iske alawa kavitaon mein aapsi rishton ki garmahat ko bhi mehsoos kiya jaa sakta hai. kavitaon ka mukhya bidu samvedna hai. samvednaon ke star par har vyakti alag hota hai. jeevan ke vibhinn aayamon mein hum sab ek doosre se kuch na kuch keh sun rahe hote hain. kavi hridya un sabhi samvednaon ko kagaz par utarne ki kala rakhta hai. shayad isiliye kaha gaya hai jahan na pahunche ravi wahan pahunche kavi. in kavitaon ko aap apne jeevan se kahin na kahin juda hua mehsoos kar payenge. manushye akela nahi reh sakta veh parivar mein rehta hai aur parivar hi samaj ki sabse chhoti ikai maani jaati hai. is sabse chhoti ikai mein anginat rishte hote hain aur un anginat rishton mein samvednayein pramukh roop se parilikshit hoti hain. is pustak kee sabhi kavitayen kisi na kis ehsaas se judi hain jo pathkon ko ant tak bandhe rakhti hain.Specifications