*COD & Shipping Charges may apply on certain items.
Review final details at checkout.
₹226
₹249
9% OFF
Paperback
All inclusive*
Qty:
1
About The Book
Description
Author
‘Roshni ke Tinke’ mein dher saari kavitayein hain jinmein Jeevan ki Vaastavikta Umeed ke Sapne Prem ki Roshni aur Ishwar ki jhalak mahsoos hoti hai. Roshni ke Tinke raat ke garbh se janam lete hain aur Surya-Kiranon ki bhanti samast Dishayon mein Prakash failate hain. Vaise hi Asha aur Vishwas ke kamal kathinaiyon ki kichahad se utpann ho jeevan mein Sarthakta ka ropan karte hain. Iski koi kavita aapko aapke hi jeevan ka hissa lagegiop to koi bhuli-bisri yaadon ka hissa koi kavita aapko Maa ki yaad dilayegi aur aapka ji chanega ki daud kar maa se lipat jayein. Koi kavita aapko Pita se apna man khol wo sab kahne ke liye prerit karegi jo aap jante to hain par maante nahin. Ho sakta hai koi kavita aapka hath us samay tham le jab aap khud ko nitant akela mahsoos kar rahe ho. Aur ho sakta hai ki koi aapse kahe ki aap akele nahi hain ishwar aapke bahut paas hai aapke kandhe majboot karta hua. Aur kya pata koi kah jaaye thoda tham jao aaj ki sham priyatam ke naam. Koi aapki un Meethi-kadvi yaadon ya anubhavon ka pitara khol de jinhe aap man ki gahraiyon mein chhupa kar rakhte hain. Aisi hi kuch paglaai hui hai ‘Roshni ke Tinke’. Aashayon –Nirashayon ke beech dolaymaan hote hamare Jeevan ki tarah. Sapne dekhte rahiye. Umeed ka Poshan karte rahiye. Roshni ke Tinke ke sath anubahv kaise rahe zarur bataiyega. Aapse mujhe aur aadhik sikhne ka mauka milega. Sapnon ki Roshni ko zinda rakhna Sahiba Tujhme Roshni zinda rahegi