aaj se 50-60 varsh poorv jab bharat azaad hee hua tha jhansi jaise chhote se shahar me ek kavi patrakaar apni rachnaaon ko srajit kar raha tha. parantu woh in rachnaaon ko sarvjanik karne men sankosh kar raha tha. in rachnaaon men us samay ke sarkaari tantr ke prati akrosh berojgaari ke jaddojahad doston ke prati lagav aur shrangaar ras ka prayog saaf saaf jhalakta hai. Kavi ke ashavadi nazariye ka ek udaharan yahan milta hai - main ashavadi manav hun main haar nirasha kya jaanoo main angaaron men rehta hun may kee paribhasha kya jaanoo main sangharshon men rt kr apna saundarya badhaata hun main neelkanth hun garal samunder ka peekar muskurata hun sw0 ramesh chaubey kee kavitaon men bhasha kee pakad ke saath saath saafgoi se apni baat rakhne kee saamarth bhee saaf saaf jhalakti hai. ye kavita sangrah sahitya premiyon ke liye ek sahejne laayak pustak hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.