Prem — ek aisi anubhuti jise shabdon ke daayre mein baandhna asambhav hai.Pyaar ishq mohabbat — yeh sab prem ke alag-alag rang aur charan hain. Maa aur bachche ka sneh bhai-behen ka apnapan pati-patni ka samarpan priya-priyasi ki tadap ya Ishwar ke prati bhakti — har roop ki paribhasha bhinn hai par mool saar ek hi hai — prem.Aaj ke daur mein jahan rishton ko naye-naye naam aur suvidha-anusar ghadhe gaye status mil jaate hain wahin kahin-na-kahin bhaavnaon ki gehraai khoti si lagti hai.Prem jo kabhi aatma ki sabse shuddh dhvani hoti thi ab maano bheed mein ansuni ho chuki hai.Yeh kitaab ussi ankahe andekhe aur khoe hue prem ki khoj hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.