‘Shabdon ki Kyariyan’ pustak mein mann ke bhavon ko prakat karti chhoti-chhoti kavitayen hain. Yeh bhav hamari dincharya ka hissa hain - jinmein rishte dil sapne paisa armaan pyaar nafrat dar anushasan ghar duniya sansaar aur na jaane kitne hi bhavon ki baatein hain jo aksar main aur mera mann aapas mein karte hain.