About the Book: Smritiyon ki Aviral Dhara mere dwara is kram mein prakashit hone wala yah mera dvitiya sankalan aapke samaksh hai. Mera yah sankalan Hindi bhasha mein likhi gayi kavitaon ka kavya sangrah hai. Smritiyan humein rulati hain evam beetay huye palon ko sehlati hain. Smritiyan manav jeevan ka ek pramukh bhaag hain jo nai chetna ko jagrat karti hain. Smritiyon ke sahare hum apne jeevan ke kshanon mein parivartan la sakte hain. Smritiyon ki Aviral Dhara ke is sankalan mein smritiyon se jude sabhi bhavon ka samaavash hai. Lekhak ka Parichay. About the Author: Main Satish Dhyani jyesth putra Swargiya Ganga Prasad Dhyani zila Lucknow (Uttar Pradesh) ka sthalīya nivaasi hoon. Meri shaikshik yogta para-snatak (sahityik varg) Lucknow Vishwavidyalaya se hui hai. Kuch samay poorv ek nijī sansthan se sewanirrit hua hoon. Mere poojya pitaji ek shikshak svatantrata senani evam Sanskrit Hindi ke marmagya kavi evam lekhak bhi the. Unki prakashit kruti Badreekashram Prakriti Chitran (Sanskrit se Hindi anuvaadit sankalan) evam aprakashit krityan Tapaswini evam Ashok Parivrtt hain. Jinhen main sheeghr hi unki punyatiithi ke avsar par prakashit karwane ja raha hoon. Apne pitaji se agadh lagav hone ke karan mujhe unhi se lekhan ki prerna mili jo maine apne shikshan kaal se hi aatmasaat kar li thi. Gat varsh 2023 mein meri prakashit kruti Aseem Vedna ke Aansoo ka pratham sankalan Hindi bhasha mein kareeb 100 kavitaon ka prakashan hua tha. Mujhe nirantar lekhan ki ruchi evam mera prayaas raha hai. Maine apni bhavanao ko smritiyon ki maala mein pirokar unhein apni nijī diary mein sankalit kiya hai.
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.