<p>Soch Sakaratmak Jeevan Sukhdayak Shri S. Nand dwara likhi pehli pustak hai jiski prerna unko apni karyshala ke pratibhagiyon aur unke sansthano ke shirsh prabhandakon se se mili. Laghbhag 25 varshon pehle jab sakartmak soch par pehli karyshala mein samwaad hua to use prabhavit ho kar bahuton ne apne Jeevan mein dher saare sakaratmak badlav kar liye tabhiye awashyakta mehsoos hui ki in vicharon ko ek pustak mein sanklit kiya jaaye. Swayam shri nand ne apne Jeevan mein is soch ke karan dher saari chunautiyon ka safaltapurwak samna kiya tha atah vicharon ke saath anubhavon ko baante se aasaani se isko Jeevan mein upyog karne mein sahayta mili. Ye yatra tab se abadh chalti rahi aur lakhon ki sankhya mein purushon mahilaon aur bachchon ke Jeevan tak pahuchti rahi aur aaj bhi prabhavshali hai. Sakaratmak soch mein viswas rakhne waale shri nand swayam ek khushmijaj vyaktitv hein jo auron ko bhi khush rehne ki prerna dete hein. NTPC Shaktinagar ke prashikshan sansthan tatha baad mein uchahar pariyojna se inka gehra Rishta hai Jahan aaye sakaratmak badlv ko Dr Abdul Kalam ne apni pustak India 2020 mein saraha hai.</p><p><b>Vigat varshon mein Shri Nand NMDC ke coach aur mentor rahe aur us sansthan mein ek khushnuma sakaratmak kary sanskriti banana mein mahatvpurn Bhumika nibhane mein safal bhi rahe . November 2020 se Janjati Kalyan Vibhag Madhy Pradesh ke saath jud kar prakshishan coaching v mentoring kar rahe hein.</b></p>
Piracy-free
Assured Quality
Secure Transactions
Delivery Options
Please enter pincode to check delivery time.
*COD & Shipping Charges may apply on certain items.